Thursday, February 14, 2008

Aks..


dekho to aks pani me usi ka hai

dekho to chehre hawaO me usi ke hai..

dekho to aankho me nami usi ki hai

sach kahu to kami usi ki hai...

dekho to sare manzar usi ke hai,

zaKm bhi usi ke,

aur khanjar usi ke hai..

dekho to suraj bhi shan se kahta hai...mera kya hai roshni ushi ki hai..

main bhi bade aitraaM se kahta hu mera kya hai...

zindgi usi ki hai.......




3 comments:

स्वप्निल तिवारी said...

Vimal jee...
Apne yahan jo zindagee ki rhyming raushnee se kar di hai...usse nazm ko naye tarah ki garmahat mili hai......

zama azmath said...

kalam -e-kanjar se.....war na karo janab.....
lafzoon se hi koi ghayal hai....ab...uske qatl na karo janaab.....

mujhe aap ke yeh nazm bahut accha laga...waise bhi..aap ke lafzoon mein jaadu hai....keep up the gud work.....

Unknown said...

kya baat hai vimal sir ........
aapke to hum pahele se kayal hai.......ab to apne sama hi bandh diya........