Monday, August 18, 2008


kya hua jo ruk si gaye hawa.....

aur zami ne aPne kaPde gile kar diye.....

darkhto ki zulfo se CHitak-ta paani.....

uff....

kaun tha abhut der tak....

badLo ko start kar ke Chala gaya.....

ki log pareshan hai...

k use band karNa ...bs usi ke dastrat me hai....

Wednesday, June 11, 2008

mere ghar ke aNgan me ek
amrud ka ped hai....

jisne mujhe Chhote se bade hote deKha hai....

jiski peedh par baith kar maine sara baChpan kutra hai....

jisKe Chaw me maine har sapNa buna hai...

aur..
ghar me aate tufanO ko usne bhi utaNa hi saHa hai...

jitNa ki maiNe....

par mere ghar ke aNgan me ek TULSI ka paudha bhi hai.....

ChaCha ChaChi aur aB bhabhi .......sab ghar ke log

...usi ki Pooja... karte hai....



par mere ghar ke aNgan me ek ak aMrud ka ped bhi hai......

Wednesday, February 20, 2008

Sajda....


maine tere pairo par
apni aankhe bandh di hai....

jahan jahan se tu guzrega...
jahan jahan teri aawaz udegi titliyo.n ki manind...

main udha lunga uske tukde..
hawao me khone ke dar se...

ke tere qadmo ke nisha.n
pat-ther na ban jaae kahi.n....

sajda karna chahta hu.n
usse pahle....

Thursday, February 14, 2008

Majboori...




अंधेरे मे ही गुज़र कर लेंगे ,
जिंदगी यू ही बसर कर लेंगे .


शोलों सा जलना याद नही है ,
शबनम सा सफर कर लेंगे .

जीना भी तों एक मज़बूरी है ,
न हो सकेगा ,मगर कर लेंगे .

टूटने से पहले मालूम हो जाए ,
हम ख़ुद को पत्थर कर लेंगे

Aks..


dekho to aks pani me usi ka hai

dekho to chehre hawaO me usi ke hai..

dekho to aankho me nami usi ki hai

sach kahu to kami usi ki hai...

dekho to sare manzar usi ke hai,

zaKm bhi usi ke,

aur khanjar usi ke hai..

dekho to suraj bhi shan se kahta hai...mera kya hai roshni ushi ki hai..

main bhi bade aitraaM se kahta hu mera kya hai...

zindgi usi ki hai.......




Ek Nazm...


ek nazm kahi hai,
ye kaho ki ho gaye hai,
na......ye kahO ki ho rahi hai....

teri janib se jab lafzo ke jharne phoote,
to maine use hatho me le liye....
aur  thande lafzo se jab hath kanpkpane lage,
lo use panno par utar diya..
jab dhOop chav me badli thi,
us tabdili ko bhi likha hai maine is nazm me..

par ye nazm meri kahan hai..
hawaye chali thi jab teri janib se
usi me to bah kar aa gaye the ye lafz
jO maine chun liye......

aur hawaye musalsal bah rahi hai
yu kaho ki nazm hO rahi hai........

aankhe



jo kahana hai kah jayegi,
ankhe to bas bah jayegi



thoda gum bhi sath me lele,
khushiya tanha rah jayegi

bulbule sa phatega suraj,
raat pani si bah jayegi

ek din wo bhi aayega jis din,
macchli pani se dar jagyegi